Select your content language

Home Celebrity Sai pallavi ke kuch anjane facts

Sai pallavi ke kuch anjane facts

Sai pallavi bharat ki ek jani mani “actress” aur “dancer” hai. Inhono mukhyabroop se “south indian” cinema me kaam kiya hai. Kuch media reports ke mutabik we aane wali movie ramayan me “Sita ma” ka role play karegi. Aaeye nazar dalte hai “Sai pallavi ” ji ke jivan se jude kuch behtareen facts par –

Fact no 1– “Sai Pallavi Senthamarai Kannan” ka janm 9 may 1992 ko hua tha. Inka janm sthan kotagiri, tamil nadu hai.

Fact no 2 – “Sai pallavi” ki parvarish coimbtoor me hui thi. “Sai pallavi” ek “trained dancer” hai.

Fact no 3– “Sai pallavi ” ek doctor bhi hai. Unhone Geogiame sthit “Tbilisi state medical college ” se 2016 me MBBS complete kiya tha.

Fact no 4– Tamil film “kasthuri maan“(2005) se batur child artist “Sai pallavi” ne apneacting career ki suruaat ki. Halanki ek actress ke taur par unki pahli film “premam” thi. Ye 2015 me release hui thi.es film me unhone ek teacher malar ka role play kiya tha. Ye fil bahut bhayankar hit thi. Es film me unhe apni acting ke liye kafi prashansha mili.

Fact no 5– acting se pahle “Sai pallavi” ek acchi “dancer” thi. Unhone “Ungalil Yaar Adutha Prabhu Deva” and “Dhee Ultimate Dance Show.” Me bataur dancer participate kiya tha.

Fact no 6– yah kha ja sakta hain ki “sai pallavi” praktik sundarta (natural beauty) ko mahatv deti hai. We kisi bhi prakar ka make up nhi karti hai. Unka screen par no makeup rule unke aaj ke samay ki baki actress se alag kar deta hai aur eske liye unhe kafi sarahna milti hai.

Fact no 7- “sai pallavi” ne kuch notable films ki hai jaise Premam (2015), Kali (2016), Fidaa (2017), Maari 2 (2018), and Shyam Singha Roy(2021). Unke kai awards jaise filmfare south aadi mile hai.

Fact no 8 – “sai pallavi” ne kai bhasayo me kaam kia hai, jaise tamil, telugu aur malyalam. We south me producer ki most favorite actress hai.

Fact no 9– “sai pallavi” ne halaki acting ki rah chuni hai, par unhone kai interviews ke dauran kabhi doctor ke peshe me bhi kaam karne ki ichchha jahir ki hai.eske alawa we health aur shiksha se jude kshetro me kafi samaj sewa sambandhit karya kiye hai.

Fact no 10– “sai pallavi ” dwara ki gyi kuch movie role ka cultural impact bahut jyada hai, specifically south india mein. Jaise ki unki movie “premam” me ki gyi unki malar namak teacher ki bhumika. Darshak khud ko unke character se jod kar dekhte hai. “Maari2” namak movie unke dwara ki gyi “Rowdy baby” me kiye dance moves south india me kafi popular aur viral huye the, jisne unka status ek “dance icon ” ka ho gya hai.

(DISCLAIMER – es blog post me di gyi information/facts kai sources se research kar ke di gyi hai , par [wintoon.in] or post writter facts ki authencity ke liye zimmedar nhi hai . yah facts keval general aur educational purpose ke liye diye gaye hai)

Tags:

प्रातिक्रिया दे

आपका ईमेल पता प्रकाशित नहीं किया जाएगा. आवश्यक फ़ील्ड चिह्नित हैं *

*